Lyrics
Chahta hoon khona in anhon mein raahon mein raaton ki chaon mein teri
Milta sukoon hai jo dekhun main hota hoon
Khwabon mein baahon mein teri
Ye bhi sawaal hai ye bhi ek raaz ki aisha kya aankhon mein teri
Dekha jo aankhon mein jadoo nigaahon mein agaya baaton mein teri
Pehle hoti thi baatein ab baat tak nahi hoti
Jab din ka nahi pata tha ab raat tak nahi hoti
Aishe uljhain hain lafzon mein sochta tak nahi
Ab sochta ki sochu to majaal tak nahi hoti
Likh raha saalon se bana nahi raaton mein
Khud ki di zindagi tere in haathon mein
Mil jaun tujhko main ye toh namumkin ab
Dhoondh le mujhe tu teri un baaton mein
Anginat baatein hain dil mein
Jo likhta safhon par toh ansu kyun aate hain
Karte hain wade sabhi par nibhane pe aati toh peeche kyun jaate hai
Kuch hain majboor aur haath pe bhi qasir hain likh nahi paate
Dil mein hi reh gayi ye baatein ab tu hi bata de hum kis se ye baante
Mujhse baat kar naraz karna, jo bhi hai wo aaj karna
Khaas tarah hasas banna, chahata tujhe pass karna
Thora toh ehsaas karna, falsafon ke raaz parhna
Saath sur bhi saaz parhna, chhodo mauka kaash par na
Chahte araam karna, teer tak kamaan par na
Mard ki zanam ek, jaanta nahi kaan bharna
Shuru hui ab saans chalna, todo ab mein saans par na
Khwab ek uraan toh phir kaise pahunchu chand par na
Teri hi aahein bharna
Teri hi rahein takna
Tujhme hi zinda hoon main
Tera mujhpe yun marna
Aankhon se hoti thi jo baatein
Dil mein hi reh gayi kis se baante
Ghut rahin saanse hain meri hum soone hi lagta hain chubhte hain khwab
Ajeeran hain raatein ab meri in aansuon mein nazar aate hain aap
Faani jahan hai yehh, kuch bhi na bachta bss bachti hain yaad
Khota hoon khud hi mein jab bhi me krta hoon teri hi baat
Hum manzilon pe so gaye hum raste mein kho gaye
Jo saath the haqeeqati wo khwaab mein bhi kho gaye
Zakham mene jo sahay wo aur gehre ho gaye
Wo sunta pukaar nhi hum cheenkh ke chup ho gaye
Jo pounchte the aansu wo log wajah ho gaye
Jo log mere gawah the wo log qatil ho gaye
Behaal sa para hoon aake dekh na tu haal mera
Haal dekh ke mera yeh aaine bhi ro gaye
Likhi baatein chehre pe tu dekh to sukoon se
Tu dekh nhi aaina tu khud ko mujhme dhoondh le
Mere aansu, dard, gham samjhte woh jhoot the
Qalam mera gawah hai yeh lafz likhe toot ke
Kehne ko to yaar hain pr haal nhi poochte
Tera kiya khayal hain sawaal nhi poochte
Afsos is baat ka kuch apne nahi choot te
Baitha hoon udaas ab main zindagi se rooth ke
Main khush nhi aaj se main jeena chahta kash main
Tujhse to khush hoon pr khud se udaas main
Pyasa jaake baitha hua dariya ke paas mein
Baatilon ke dariya mein sach ki talash mein
Tum dhundte kitaab mein, main doob rha yaad mein
Jor ke alfaaz mein, mein toot rha aas mein
Ghoonth de awaaz yeh par nahi daghabaaz mein
Zamana ki nahin parwah masroof ul-hawaas mein
Teri hi aahein bharna
Teri hi rahein takna
Tujhme hi zinda hoon main
Tera mujhpe yun marna
Aankhon se hoti thi jo baatein
Dil mein hi reh gayi kis se baante
Can't get it out of your head? Play “Baatein” yourself.