MyLyricsFinder

Purple

AUR

Lyrics

Aayein agar mushkilein morr par Waadah karo jao ge na chhor kar Chahay mera dil tujhay be-panah Jaatay ho kyun tum isse torr kar? Barhti raheingi meri khwahishein Lag ja galay aarzi taur par Jaanay wala murr ke dekh le Na tujhe hai, na mujhe hai waqt ka pata Aisay tou ho jaonga tabah tere bina Dekhte he dekhte sanam Paas aate aate duur ho rahe hain hum Phir milein ge hum kahin magar Jaane kahan Tum agar mere raho Mein tera hoon sab se kaho Mein tera ho gaya meri jaan Tum agar mere raho Saaye mere tou rahein ge sada Mein le ke aa jo gaya wafa Tum mujh ko raahein dikhati ho yoon Gumm raahon mei jugnu ki tarha Nazamein meri ho jayein gi amar Dhun gunguna de jo tu yeh ek dafa Jaanay wala murr ke dekh le Na tujhe hai, na mujhe hai waqt ka pata Aisay tou ho jaonga tabah tere bina Dekhte he dekhte sanam Paas aate aate duur ho rahe hain hum Phir milein ge hum kahin magar Jaane kahan Tum agar mere raho Mein tera hoon sab se kaho Mein tera ho gaya meri jaan Tum agar mere raho