Lyrics
Vo gayi mera haath aise chhod ke
Ki khade hum rahe usi mod pe
Dil lagane ka ab dil hi nahi karta
Na jaane kaise kark ke gaye hum pe vo totke
Vo gayi mera haath aise chhod ke
Ki khade hum rahe usi mod pe
Dil lagane ka ab dil hi nahi karta
Na jaane kaise kark ke gaye hum pe vo totke
Na jaane unko kaisi humse hai naarazgi
Humko haan dhoondhne pe mili na vo sadgi
Paani pilane wale raaste mein bahut mile
Par hamari pyaas bujhayegi unki aag hi
Main behta dariya vo mera saahil
Main shayad jhootha ya phir likhne mein mahir
Kuch bhi ya maan lo ab kya hi farak padta hai
Main dilon mein hoon bas chuka
Dilon mein hoon mujahir
Vaise to gham jaana mujhko behisaab mile
Pyaar ya nafrat ye dono ek saath chale
Ab kiske hisse mein kya aayega khuda hi jaane
Ham to badkismat tere dar pe hue aa khade
Chalo bata bhi do kya thi majbooriyaan
Leem bahaane deke bana li chh dooriyaan
Kisne sikhaya tumhein peeth peeche vaar karna
Gale se laga ke peeth pe chalaayi chhuriyaan
Aana tu chahati waapas kyun paeron ko rok rahi hai
Raatein ye kaali na jaane kyun mujhko kos rahi hai
Logon ki nazron mein main patthar insaan aaj
Dil ki baatein sunkar meri duniya kyun ye ro rahi hai
Bas ek baar milke waapas chali jaana tum
Naye us aashiq se laga lo koi bahaana tum
Main nahi keh raha ki tum karo bewafaai par
Ek baar gale se mujhko milke lagaana tum
Vo gayi mera haath aise chhod ke
Ki khade hum rahe usi mod pe
Dil lagane ka ab dil hi nahi karta
Na jaane kaise kark ke gaye hum pe vo totke
Vo gayi mera haath aise chhod ke
Ki khade hum rahe usi mod pe
Dil lagane ka ab dil hi nahi karta
Na jaane kaise kark ke gaye hum pe vo totke
Duniya mein chalti aayi shuru se ye reet hai
Ek farebi doosre ko pyar ki ummeed hai
Kiski yahaan yaad main likh raha hoon geet
Duniya ko kaise bataaun hum aapke mureed hai
Ab to haan galatiyon se le chuka hoon seekh main
Pyaar na mango kabhi kisi se bheek mein
Chalo aaj chhodo tumhe kya hi doon main lesson
Main khud ke pyaar ke liye bana kabhi na theek main
Main sach kahun ab aati teri yaad nahi
Main sach kahun ab na chahiye vaise sadgi
Main sach kahun tere jaane ke baad bahut mile par
Jaane jaana unmein tujh jaisi na baat thi
Vo paas hoke bhi na kabhi mere paas thi
Vo aam hoke na jaane kyun itni khaas thi
Samajh na aa raha khush abhi hoon ya pehle tha
Fark nahi padta zindagi pehle se barbaad thi
Hum to haan toot hi chuke hain unki yaadon mein
Khwaahish to kar le par dar lagta hai wadon se
Dil lagi to door sochne se kampta hoon
Pehle jaisi himmat nahi hai mere iradon mein
Duniya ye pooche mujhse mukare kya vo wadon se?
Mohabbat kyun kare nilam hum bazaaron mein
Duniya ye baithe sunne ke liye kahani kahke
Wafa daar paani phera duniya ke iradon pe tune