Lyrics
Ghar pe kamane wala bas mera baap hai
Sach kahu dena chahta unhe ab aaram main
Kaise mai chalaunga music se apna ghar
Din raat daudey yeh khayal mere dimag mein
Jo hai tera tere tak khud he pohanch jayega
Khuda pe tu rakh yakeen tera waqt aayega
Par khud bhi to haath paer maar mere bhai
Kaise ghar baithe maa ki dawayi layega
Kya tu jhel payega duniya ke taane ko
Kya tu ponch payega maa ke aansuon ko
Tera rasta hai sabse alag mai bhi janta par
Samajh payega kya apno ki chalo ko
Gairon se zyada apno ka taana milega
Kaamyabi ke liye sabko gawaana padega
Jab bhi tooti teri himmat jab bhi todega tu dum
Mera gaana sunke jeene ka bahaana milega
Mai bhi teri tarah middle class boy hu
Log yaha khele mere sath jaise mai toy hoon
Phool jaisa dil bana dekho ab pathar ka
Ghumey yeh dimag mera jaise mai alloy hoon
Mujhe jeene ka he maksad mera music deta hai
Logo ko neecha dikhane ka maksad leke baitha hai
Censor khud ko he man he man kosey baitha hai
Hota hai vahi bada dil se jo humble rehta hai
Koi kahe mujhe bella vali vibe deta hu
Sach kahu to mai ussey inspired rehta hoon
Kaise girke vo uth khada hua firse
Bas yahi tumhe mai bhi ab raaye deta hoon
Par kabhi copy kare ni mai kisi ke bhi gaaney
Do char batein karke achey dost ni ban jaatey
Umrey beet jati hai rishtey bananey mein
Kisi ko thokar maar ke ha tum bhagwaan ni ban jaatey
To be honest kisi pe tum karna na yakeen
Mithi baatein zehar dil mein rakhtey chehrey haseen
Mujhe hota na yakeen ki mai pagal banra tha
Choda usne tha mujhe vo bhi sapna lagra tha
Jo mere dil mein tha mai pannon pe bhar diya
Toda jinhone tha dil unhe maaf kardiya
Aur jinka mai toda unse maafi mangta
Logon ko peechey chodke mai ab aagey badh gaya
Mujhe chodo mere haal pe
Dil ke yeh zakham dikhey meri is khaal pe
Zindagi mein jali thi mashaal ek
Usi ha mashaal se jala baitha mai haath dekh
Mujhko na mili kamyaabi
Kya lagalu khudko faansi puchu khudse sawaal mai
Kaise mai uthau zimedari gharki
Awaara sa ladka chubu sabki mai aankhi mein
Yeh mera khudse sawal
Mere marne ke baad log rakhenge kya yaad
Kya kar paunga mai naam bada
Subha k 3 baje khudse mangra jawab
Kya toot jayega vo mera khwab
Jisey paaney k liye suney taane din raat
Kaise mai lagaunga hisaab
Yaha kon mere sath aur kon hai khilaaf
Likh dali khudpe yeh nazam
Gairon se na dar apno ne diye zakham
Haan khuda mera ban ja tu marham
Yaa lele meri jaan mujhe karde tu khatam
Main hogaya hu khudse juda mujhko le tu mujhse bacha
Kya khata meri mujhko bata kyu di yeh mujhko saza
Aj bhi mai tera intezaar karu
Dil ki main baaton ka ganon pe izhaar karu
Aj bhi mai tujhse hi pyaar karu
Milke han dekh tujhse baatein hazaar karu
Tere jaane ke ha baad miley kaafi chehrey
Tujhse haseen aur tujhse sunehrey
Tere baare baatein ki hai logo ne bohot
Par kaan mainey kiye tab apne they behrey