MyLyricsFinder

Red Zone

Dipsne

00:12.50 “Partner partnership tod rha tha”

Lyrics Timed, click a line to jump

Ek din dhande me thoda nuksaan ho gya vo
Partner partnership tod rha tha
Maine kaha tod de
Ghar gya pareshan tha dost mila
Bola sab thik hoga
Bhagwan pe chhod de
Fir ek din vahi dost mila kaafi udas tha
Mai hee uska khas tha
Pucha kya hua to bola yar mera exam tha
10 bje ka alarm tha
Vo nhi bja mai sota rha
Ab board next year conduct karega
Mai bola dost, ab isme bhagwan kya karega?
Aaj firse khayaalo me aag lagi hai
Sapno ki tabaahi mere aage khadi hai
Kar sakta agar sab theek khuda
Toh fir pehle hee kyu mayoos kiya
Tum ho tumhara sahara
Hai jeet ta vo bhi jo sab kuch haara yahan pe
Soch or himmat jo de di khuda ne
Fir uska na kaam hai sara yahan pe
Kya soch ke chalne laga tu upar wale ki tarah
Apne liye himmat rakh or upar wale ki salaah
Andar hai vishwas rakh, kaam se dahaad kar
Aaj nahi to kal safal hoga maana likha padha
Kismat apne hath me na kisi ki aukaat me
Jo bole na tu kuch kar payega rakho unse faasle
2 feet ki doori bole mask hai zaroori
Esi baate nahi hai sachi modi saab hain zaroori
Kaise kaam mai karoon ji lakshay lagan banana
Lekin itna asaan nahi jitna dikhta hai kamana
Lele naam tu shyam ya japle raam tu naam
Abey manzil kya milegi mujhe sachi bata na?
Aaj firse khayaalo me aag lagi hai
Sapno ki tabaahi mere aage khadi hai
Kar sakta agar sab theek khuda
Toh fir pehle hee kyu mayoos kiya
Tum ho tumhara sahara
Hai jeet ta vo bhi jo sab kuch haara yahan pe
Soch or himmat jo de di khuda ne
Fir uska na kaam hai sara yahan pe
Kitne hain baithe bande tilak lga media pe
Jo dete hain upaaye tum paise fainko ragda ke
Upaaye ki na kami vishwas ki hai kami
Lapetne ke 100 tareeke andhvishwas, daba ke
Blame karo tum parents, apne upar lo assurance
Taare nahi banaate tumhe tum taaro ko banaate
Badhte aage tum khoon paseene mehnat hai lagaake
Dosh na utrenge kabhi, chatniya khake
Abey sunte jao aage, ye billi rasta kaata
Andhvishwas me vishwas kahin tera ch kaate
Baabe upar wala bhi dega kya dosh ke upaaye
Jab tu khud ke liye kare na kuch afsos ke sivaaye
Aaj firse khayaalo me aag lagi hai
Sapno ki tabaahi mere aage khadi hai
Kar sakta agar sab theek khuda
Toh fir pehle hee kyu mayoos kiya
Tum ho tumhara sahara
Hai jeet ta vo bhi jo sab kuch haara yahan pe
Soch or himmat jo de di khuda ne
Fir uska na kaam hai sara yahan pe
नादत्तेकस्यचित्पापं न चैव सुकृतं विभु: |
अज्ञानेनावृतं ज्ञानं तेन मुह्यन्ति जन्तव: ||

Can't get it out of your head? Play “Red Zone” yourself.

Find the sheet music