MyLyricsFinder

Aghosh

Entity Paradigm

Lyrics

Toote huwe un khwaabon ke Uss dahekte sooraj talle Falak se ab tapke na jo Umeed ke qatre the wo Talakh ansuwon ke sailaab se Bhi jo ho na saki num to Roti thi wo Ye zameen Meri maan thi wo Khuda ka wajood Mabood thi wo Saya thi Roshni bhi thi wo Qadam talle jannat Meri aghosh thi wo Jiss aasre ke liye Rooh tarapti thi jiss ki Jiss shama ko Jala na saki Wo andhera hoon mein Ye gunah-gar haath Bheek ki chah mein Jo badhain darbadar uss ki su Dar rahi thi wo Ye zameen Meri maan thi wo Qadam talle jannat Meri aghosh thi wo Aankh se tapka jo ab ye lahoo Zakham bharne lage Sar-ba-sajood hoon uss ke hazoor Gunah dhulne lage Darguzar uss maan ne kiya Fasle simatne lage Wahdahoo! Uss ki kokh se hoon Ek hi nabz, ek wajood Ye zameen Meri maan hai ye Khuda ka wajood Mabood hai ye Saya hai Roshni bhi hai ye Qadam talle jannat Meri aghosh hai ye

Can't get it out of your head? Play “Aghosh” yourself.