MyLyricsFinder

Lyrics

Tera mera ye rishta pyaar mein badal raha Main dushmano ko jaese yaar mein badal raha Sabhi ko dil ki chot lag rhi hai zor se Main le ke chot kalakaar mein badal raha Haan jitna likh raha hoon utna gaa nhi raha Likhi hai asliyat hawa bana nhi raha Hai gar ye jhoot to kalam abhi main tod doon Woh to chala gaya ye gham kyun jaa nhi raha Paese ki baat soch-vichaar mein badal gyi Meri bullet jo aaj thar mein badal gyi Ki Bharli jabse maene jeebein apni noton se Ye poori duniya rishtedar mein badal gyi Main jitna likh raha hoon sab kisi ki yaad mein Ye mujhko chahenge mere marne ke baad mein Haan sach hai sach ke saath koi bhi khada nhi Ye beej jhoot ka hi boo rhe hain khaad mein Kitni baatein bataun kitno ko aate jaate Mujhse pucho na kaese guzri ye kaali raatein Kitni baatein bataun kitno ko aate jaate Mujhse pucho na kaese guzri ye kaali raatein Ho kaali raatein ya ho raaton ka andhera Kalam ki nok se main launga savera Kisi ki sunke main chala nhi hoon aaj tak Karunga bss wahi jo dil krega mera Guzar chuka hoon kitne raahe kitne mod se Haan mujhpe vaar bhi hue hain kitni oor se Safar mein mere saare doston ka saath hai Main dushmano ko peeche aa gaya hoon chod ke Ye sapne poore karne daudta hoon raat din Ragon mein khoon daudta hai jitni zor se Jhagad raha hoon apne aap se hi aaj kal Main khud se dar gaya hoon, bhaagta hoon shor se Chehra hai wo mehtaab sa Koi kyun na ho uspe fida Sehra se mere in khwaabon mein Woh beh raha hai aab sa Qareeb aake mil zara Ye zulfein main sawaar loon Khiza ki dhoop mein tujhe Main shabnami bahar doon Tu har subah ka noor hai Labon ka mere raag tu Khushi ka jo chiraag tha Woh bujh gaya hai aaj kyun Gali gali, sheher sheher, mein dhundha har kahin Na kuch kaha na kuch sune bina chali gyi Hoon khud mein poora sirf teri hi kami rahi Main tanha reh gaya ye kaali raatein reh gyi Main tanha reh gaya ye kaali raatein reh gyi Reh gyi Kitni baatein bataun kitno ko aate jaate Mujhse pucho na kaese guzri ye kaali raatein Kitni baatein bataun kitno ko aate jaate Mujhse pucho na kaese guzri ye kaali raatein Kitni baatein bataun kitno ko aate jaate Mujhse pucho na kaese guzri ye kaali raatein Kitni baatein bataun kitno ko aate jaate Mujhse pucho na kaese guzri ye kaali raatein

Can't get it out of your head? Play “Raatein” yourself.