Lyrics Timed, click a line to jump
Door tu jitna bhi ho jayegi mujhse
Takraenge banke yaadein hum kahin
Banke tu sapna band aankhon ke peeche dikhe
Banke tu lafz mere panno par, hai shayari
Kaisa hai yeh raabta?
Bepanah yeh waasta
Dhaage baandhe mujhko tujhse
Main rahoon ya nahi, rahe sada ye dhaage
Kabhi uljhe, kabhi kabhi suljhe, na tootenge
Barsunga ek din main saawan ke jaise
Aankhon ke zariye banke main aansu
Banke main aaunga lamhon ke jhonke
Tere dil-e-jahan ki main banke aarzoo
Bata mujhe kyun ye raabta?
Meri wafa ka waasta
Sooraj ki kirno mein tu hai
Main samundar ki baahon mein hun
Intezaar hai mujhko deedar ka
Mujhme aake ghul ja tu
Dhaage baandhe mujhko tujhse
Main rahoon ya nahi, rahe sada ye dhaage
Kabhi uljhe, kabhi kabhi suljhe, na tootenge
Can't get it out of your head? Play “Dhaage” yourself.
Find the sheet music