MyLyricsFinder

Void

Subhan Mallah

Lyrics

Hogaien hein mudaatein jaana Guzargaye ek ek ye saal Kese bataun jaan nisaaron ko Mujhko tera intzaar Dekhun mai aynay mai khudko Ab tou na malaal Nikla hun ab bhi na inse mai Kese hein tere ye jaal Khudme mehsoos hoti kami Ab bhi in aankhon mai rehti hai nami Meri jaana khudse kabhi na bani Teri aaj bhi kia zulfein hein ghani? Aasmanon pe ghar mera bhaati na zameen Sada di bari par tunay na suni Gham tera haavi hai mujhpe ye marz jese Marz ka ilaaj dhoondein Mein J aur Sonny Sun aake kabhi mere dard ki ye daastaan Band na tu kar mujhpe apna ye aastaan Kal ki he baat jaana mera tu khaas tha Ab dekh ke tu mujhko kiun badalta raasta? Baad-e-saba jese guzargai tu Mil tou kabhi jaana ho rooh baru Teri talaash mai phira kuu-ba-kuu Faasle hein kathin jaana paas na hai tu